Thahra hai qarib-e-jaan aa kar
jaane ka nahin ye dhyan aa kar
aaina liya to teri surat
hansne lagi darmiyan aa kar
Tapke na ye ashk chashm-e-gham se
jae na ye mehman aa kar
palTi jo hawa gae dinon ki
dohra gai dastan aa kar
qadmon se lipaT gae hain raste
aata hi nahin makan aa kar
ja pahunchi zamin us se milne
milta na tha aasman aa kar
Ghazal
Thahra hai qarib-e-jaan aa kar
Shahida Hasan

