Thahar Thahar ke mera intizar karta chal
ye saKHt-rah bhi ab iKHtiyar karta chal
safar ki raat hai har gam ehtiyat barat
palaT palaT ke andheron pe war karta chal
liye ja kaam tu apni firaKH-dasti se
qadam qadam pe mujhe zer-e-bar karta chal
idhar udhar jo khaDe ho gae hain tere liye
unhen bhi apne safar mein shumar karta chal
kisi Thikane pe tujh ko agar pahunchna hai
to naqsh-e-pa ka mere e'tibar karta chal
na khinch dasht o jabal bahr o bar se qadmon ko
ye sab rukawaTen hain in ko par karta chal
Ghazal
Thahar Thahar ke mera intizar karta chal
Ghulam Murtaza Rahi