Thahar jawed ke arman dil-e-muztar nikalte hain
khaDe hain muntazir hum ghar se wo bahar nikalte hain
asiran-e-kuhan matub ho ho kar nikalte hain
ki zindan se janaze uThte hain bistar nikalte hain
nahin malum munh se dil jigar kyunkar nikalte hain
hum un se puchh lenge chhoD ke jo ghar nikalte hain
KHabar leta nahin ghurbat mein koi pa-shikasta ki
jahan hum hain udhar se qafile aksar nikalte hain
kabhi madfun hue the jis jagah par kushta-e-abru
abhi tak is zamin se saikDon KHanjar nikalte hain
har ek mashuq ke daftar mein hum maqtul likhe hain
jahan dekho hamare nam ke daftar nikalte hain
nahin hai ek harf-e-talKH ki jago mere dil mein
magar puchho to shikwon ke abhi daftar nikalte hain
jawani se takalluf baDh gaya hai mere saqi ka
sharab-e-kohna aai hai nae saghar nikalte hain
hazaron mufside dar par bapa rahte hain ai qatil
tere kuche se lakhon fitna-e-mahshar nikalte hain
abhi fursat nahin ai ahl-e-mahshar sab farishton ko
Thahar jao mere aamal ke daftar nikalte hain
jo kar ke zabt sath ashkon ke hain aane nahin deta
sada deta hai dil pahlu se hum bahar nikalte hain
hua hai saKHt mushkil dafn hona tere wahshi ka
jahan par qabr khodi jati hai patthar nikalte hain
bahaar aai mubarak aashiq-o-mashuq ko milna
ki kaliyan phuTti hain bulbulon ke par nikalte hain
siwa qalb-o-jigar ke mumlikat mein ishq ki kya hai
agar DhunDho to ye ujDe hue do ghar nikalte hain
nazar ke KHauf se katri gain hain in ki wan palken
meri rag rag se yan TuTe hue nashtar nikalte hain
samajh ke jin ko jugnu bandhte ho apne daman mein
sharar ye shab ko mere dil se ai dilbar nikalte hain
nishan qalb-o-jigar ka aansuon se saf kya paun
ki wo to kashtiyan Dubi hain sau langar nikalte hain
kashida un ke abru hain nigahen tez hoti hain
kamanen khinch rahi hain miyan se KHanjar nikalte hain
jigar dil aate hain aankhon se bahar jama hain aansu
ki apne mulk se sultan ma-e-lashkar nikalte hain
KHayal itna to hai tere gale ka haar hun shayad
gul-e-tar bagh se hanste hue bahar nikalte hain
jahannam se koi kah de zara hoshiyar ho jae
ghazab ka waqt hai qabron se daman tar nikalte hain
tawaqqo uTh gai aane ki bilkul yun uThaya hai
ki aaj un ki gali se hum ma-e-bistar nikalte hain
karun kyunkar na tazim us ki main lae jo KHat us ka
ki aksar is tarah ke log paighambar nikalte hain
qafas mein ham-safiran-e-chaman kyun chhoDe jate ho
zara do din Thahar jao hamare par nikalte hain
jigar-dari ka dawa miT gaya har shaKHs kahta hai
jo donon hath hum rakkhe hue dil par nikalte hain
'rashid' aaghaz-e-ulfat se kahin anjam behtar hai
ki bahr-e-ishq ke Dube lab-e-kausar nikalte hain
Ghazal
Thahar jawed ke arman dil-e-muztar nikalte hain
Rasheed lakhnavi

