اردو हिंदी
Tha zuleKHa ko jo jaan se mah-e-kanan aziz | Shaahi Shayari
tha zuleKHa ko jo jaan se mah-e-kanan aziz

Ghazal

Tha zuleKHa ko jo jaan se mah-e-kanan aziz

Mohammad Yar Khaksar

;

tha zuleKHa ko jo jaan se mah-e-kanan aziz
hum ne bhi tujh se to be-mehr na ki jaan aziz

kal mujhe qatl kar us dushman-e-din kafir ne
bola logon se ye tha mard-e-musalman aziz

kyun na wo mushaf-e-ru jaan se mujhe howe ziyaad
kis musalman ko nahin din aur iman aziz

KHaksar arsh se bhi dekha pare tera mizaj
aap mein aa zara apne tain pahchan aziz