tha pas-e-mizhgan-tar ek hashr barpa aur bhi
main agar ye jaanta shayad to rota aur bhi
panw ki zanjir girdab-e-bala hoti agar
Dubte to sath par ek naqsh banta aur bhi
aandhiyon ne kar diye sare shajar be-barg-o-bar
warna jab patte khaDakte dil larazta aur bhi
rauzan-e-dar se hawa ki siskiyan sunte raho
ye na dekho hai koi yan aabla-pa aur bhi
har taraf aawaz ke TuTe hue girdab hain
raushni kam hai magar chalta hai dariya aur bhi
sirf tu hota to tera wasl kuchh mushkil na tha
kya karen tere siwa kuchh hum ne chaha aur bhi
aarzu shab ki masafat hai to tanha kaTiye
din ke mahshar mein to ho jaenge tanha aur bhi

Ghazal
Tha pas-e-mizhgan-tar ek hashr barpa aur bhi
Tauseef Tabassum