اردو हिंदी
Tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko | Shaahi Shayari
tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko

Ghazal

Tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko

Rizwanur Raza Rizwan

;

tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko
dekh kar hairan hain ab KHwab ki tabir ko

us ne dil ki dhaDkanen sun kar shab-e-tarik mein
kar liya mahsus mere nala-e-shab-gir ko

kaisa qatil tha mera shauq-e-shahadat dekh kar
rakh diya zalim ne apne hath se shamshir ko

dafatan KHud us ka chehra bhi kitabi ho gaya
mere ruKH par paDh liya hai jaane kis tahrir ko

dasht-o-sahra se guzarne ka hunar malum hai
kaT de koi hamare panw ki zanjir ko

main ne mana khel sab taqdir hi ka hai magar
har ghaDi 'rizwan' rakh pesh-e-nazar tadbir ko