tha mustaar husn se us ke jo nur tha
KHurshid mein bhi us hi ka zarra zuhur tha
hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha
paida har ek nale se shor-e-nushur tha
pahuncha jo aap ko to main pahuncha KHuda ke tain
malum ab hua ki bahut main bhi dur tha
aatish buland dil ki na thi warna ai kalim
yak shoala barq-e-KHiraman-e-sad-koh-e-tur tha
majlis mein raat ek tere partawe baghair
kya shama kya patang har ek be-huzur tha
us fasl mein ki gul ka gareban bhi hai hawa
diwana ho gaya so bahut zi-shuur tha
munim ke pas qaqum o sanjab tha to kya
us rind ki bhi raat guzar gai jo ur tha
hum KHak mein mile to mile lekin ai siphar
us shoKH ko bhi rah pe lana zarur tha
kal panw ek kasa-e-sar par jo aa gaya
yaksar wo ustuKHwan shikaston se chur tha
kahne laga ki dekh ke chal rah be-KHabar
main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghurur tha
tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein 'mir'
samjhe na hum to fahm ka apni qusur tha
Ghazal
Tha mustaar husn se uske jo nur tha
Mir Taqi Mir