tha muKHtasar wajud jasim-o-jari na thi
kirnon se aaftab ki shabnam Dari na thi
aate the us zaban pe bas lafz-e-ba-waqar
wo mo'tabar zaban thi miThi chhuri na thi
arbab-e-fikr-o-phan bhi tassub ki zad pe hain
duniya buri to thi magar itni buri na thi
'abid' ko baad-e-marg bhi rakhenge yaad sab
jo zindagi guzari wo bazigari na thi
Ghazal
Tha muKHtasar wajud jasim-o-jari na thi
Abid Kazmi