tha main aaKHir usi mausam ki faza mein pahle
is qadar soz na tha meri nawa mein pahle
hai agar us ki ye hasrat ki use sab dekhen
shahid-e-charKH ho ru-posh ghaTa mein pahle
KHak-poshon ke badan der mein lau dete hain
aag lagti hai kisi narm qaba mein pahle
honT sina bhi hai ab farz chalo ye bhi sahi
aisi sharten na thin aadab-e-wafa mein pahle
ahl-e-fan us ko na bhulen ki dil o jaan ki tapish
harf mein baad ko aati hai sada mein pahle
mere arsa-gah-e-taqdir mein aane walo
din guzaro kisi aashob-sara mein pahle
mere sahra mein tum aae to ho nazuk-nafaso
sans bhi li hai kabhi aisi hawa mein pahle
Ghazal
Tha main aaKHir usi mausam ki faza mein pahle
Mahshar Badayuni