tha magar itna ziyaada to junun-KHez na tha
pahle dekha tha to lab hi tha ye labrez na tha
thin magar itni bhi badmast na thin ye aankhen
tha magar aankh mein surma tera yun tez na tha
tere phulon se ye KHushbu to nahin aati thi
mausam-e-lams se tu qarya-e-zarKHez na tha
yaad to hai teri kam-umr nigahon ka fusun
lekin us chashm-e-jawan sa sehr-angez na tha
TuTi paDti na thin aankhen meri tujh par aise
gul-ba-daman to tu pahle hi tha gul-e-rez na tha
jaisa mawwaj tha us husn ka dariya 'kashif'
dil ka tufan koi waisa bala-KHez na tha

Ghazal
Tha magar itna ziyaada to junun-KHez na tha
Syed Kashif Raza