اردو हिंदी
Tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-reKHta | Shaahi Shayari
tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-reKHta

Ghazal

Tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-reKHta

Mushafi Ghulam Hamdani

;

tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-reKHta
ab wahi hai lala-e-zard-e-KHizan-e-reKHta

aage kachhwe ki kaman ke qadr kya us ki rahi
thi farid-abaadi apni go kaman-e-reKHta

KHushk karte hain jo fikr-e-KHushk se apna dimagh
jaante hain us ko maghz-e-ustuKHwan-e-reKHta

pech de de lafz o mani ko banate hain kulaft
aur wo phir us pe rakhte hain guman-e-reKHta

fahm mein itna nahin aata ba-hukme-e-ra-e-past
is bulandi se ghaTi jati hai shan-e-reKHta

KHwan-e-yaghma ban ke pahuncha har kas-o-na-kas ke hath
nitta-e-sultan jo tha maKHsus KHwan-e-reKHta

hai rag-e-abr-e-bahaari hath mein mere qalam
rashk-e-jannat jis se hai ye gulistan-e-reKHta

farsi ab ho gai hai nang us ke waste
farsi ka nang tha jaise quran-e-reKHta

chand tare ka dupaTTa mein diya us ko bana
warna is zinat se kab tha aasman-e-reKHta

rafta rafta hae us ka aur aalam ho gaya
nazm se apni gira nazm-e-bayan-e-reKHta

jab se mani-bandi ka charcha hua ai 'mushafi'
KHalte mein jata raha husn-e-zaban-e-reKHta