tha band wo dar phir bhi main sau bar gaya tha
manind hawa phand ke diwar gaya tha
phirta hun main be-dil mera dil kyun nahin dete
kya tum se jua khel ke main haar gaya tha
saude ko na puchh aaya tha tu naz se jis din
gesu tera us din mere sar mar gaya tha
dil se na sahi aae to mayyat pe wo aaKHir
aate na to marna mera bekar gaya tha
KHud main ne jataya hai use hashr ka maidan
mashhad hi se main us ka taraf-dar gaya tha
barchha tha ki tir apni nazar se ye zara puchh
sine mein kuchh is par se us par gaya tha
majbur hua wo jo paDa zulf ka phanda
'shauq' us ke wahan ho ke giraftar gaya tha

Ghazal
Tha band wo dar phir bhi main sau bar gaya tha
shauq Qidvai