tha baam-e-falak KHak-basar aane laga hun
jis samt ishaara tha udhar aane laga hun
jab tak teri aaankhon mein nahin tha to nahin tha
ab dekhne walon ko nazar aane laga hun
mat kaTna rasta mera ban kar KHat-e-imkan
ai dar-ba-dari lauT ke ghar aane laga hun
ek wahm sahi phir bhi meri nafi hai dushwar
ai dost har aahaT par agar aane laga hun
allah-re qismat ki shahab un ki gali mein
sae ki tarah sham-o-sahar aane laga hun

Ghazal
Tha baam-e-falak KHak-basar aane laga hun
Shahab Safdar