tha ajab seminar ka mausam tabsire ho rahe the har fan par
shaeri par sabhi ka qaul tha ye gard kitni jami hai darpan par
aaj qiston mein dhup utri hai par baDe karr-o-farr se utri hai
aaj suraj hai Dubne ko magar dhup ke naqsh-e-pa hain aangan par
aaj baadal phaTe hain aankhon mein aaj sailab aane wala hai
aaj chehre ke koh TuTenge aur chaTanen girengi daman par
kashmakash mein hain tinke chhappar ke KHak ho jaen ya ThiThurte rahen
barq hi barq hai fazaon mein os hi os hai nasheman par
aap muslim hain aap ke sar par mufti sahab ka qaul utrega
kufr aur shirk aur bidat ke fatwe aate nahin barahman par
KHal jis ne 'nawaz' udheDi hai wo hi darzi hai mere paikar ka
wo hi gin kar bataega tum ko kitne paiwand hain mere tan par
Ghazal
Tha ajab seminar ka mausam tabsire ho rahe the har fan par
Nawaz Asimi