اردو हिंदी
Tha abas tark-e-talluq ka irada yun bhi | Shaahi Shayari
tha abas tark-e-talluq ka irada yun bhi

Ghazal

Tha abas tark-e-talluq ka irada yun bhi

Ahmad Faraz

;

tha abas tark-e-talluq ka irada yun bhi
ishq zinda nahin rahta hai ziyaada yun bhi

ek to in aankhon mein nashsha tha bala ka us par
hum ko marghub hai kaifiyyat-e-baada yun bhi

nama-bar us se na ahwal hamara kahna
wo tunuk-KHu hai bigaD jae mabaada yun bhi

so gae hum bhi ki be-kar tha rasta takna
us ko aana hi nahin tha shab-e-wada yun bhi

kuchh to wo husn pasheman hai jafa par apni
aur kuchh us ke liye dil tha kushada yun bhi

kuch kar jate hain hum ku-e-mohabbat se 'faraaz'
in dinon chaak-e-gareban hain ziyaada yun bhi