tha aasman par jo sitara nahin raha
yaadash-ba-KHair ab wo hamara nahin raha
jo din guzar gae wo guzar hi gae so ab
yaadon ke ma-siwa koi chaara nahin raha
sail-e-rawan mein gum hai nishan-e-muhit-e-ab
ai mauj-e-muztarib wo kinara nahin raha
tanha the jab to aankh ke aansu bhi dil mein the
wo aa gaya to zabt ka yara nahin raha

Ghazal
Tha aasman par jo sitara nahin raha
Hasan Aabid