tha aaine ke samne chehra khula hua 
pani pe jaise chand ka saya paDa hua 
ghulti gai badan mein tamazat sharab ki 
saghar nigah ka tha labaalab bhara hua 
kal raat thoDi der ko palken jhapak gain 
jaga to joD joD tha apna dukha hua 
shayad ki so gae hain bahut thak ke dil-jale 
shahr-e-junun tamam hai suna paDa hua 
tahzib DhunDhti hai kisi irtiqa ki shakl 
iqbaal-mandiyon ka hai suraj Dhala hua 
dil ka wajud gham ke andhere mein kho gaya 
jaise kisi mazar ka katba miTa hua 
kandhe pe Dho raha hun gae waqt ki salib 
kanTon ka taj sar pe hai apne rakha hua 
gharqab ho na jae kahin zabt ka jahan 
phir aaj dard-e-dil ka hai dariya chaDha hua 
haalat na ab 'shamim' ki puchho ki wo gharib 
hoga kisi gali mein tamasha bana hua
        Ghazal
Tha aaine ke samne chehra khula hua
Syed Ahmed Shameem

