tez-rau pani ki tikhi dhaar par bahte hue
kaun jaane kab milen is bar ke bichhDe hue
apne jismon ko bhi shayad kho chuka hai aadmi
raston mein phir rahe hain pairahan bikhre hue
ab ye aalam hai ki meri zindagi ke raat din
subh milte hain mujhe aKHbar mein lipTe hue
an-ginat chehron ka bahr-e-be-karan hai aur main
muddaten guzrin hain apne-ap ko dekhe hue
kin ruton ki aarzu shadab rakhti hai inhen
ye KHizan ki sham aur zaKHmon ke ban mahke hue
kaT mein bijli se tikhi baal se barik-tar
zindagi guzri hai is talwar par chalte hue
Ghazal
Tez-rau pani ki tikhi dhaar par bahte hue
Nashtar Khaanqahi