اردو हिंदी
Tez jab KHanjar-e-bedad kiya jaega | Shaahi Shayari
tez jab KHanjar-e-bedad kiya jaega

Ghazal

Tez jab KHanjar-e-bedad kiya jaega

Hafeez Banarasi

;

tez jab KHanjar-e-bedad kiya jaega
hum gharibon ka gala yaad kiya jaega

ghair ko KHush hamein nashad kiya jaega
kab talak ye sitam ijad kiya jaega

ye to batlao hamein shahr basane walo
dil ka virana kab aabaad kiya jaega

aur kya hoga tere ahd-e-sitam mein ai dost
roz taza sitam ijad kiya jaega

ye jahan murda-paraston ka jahan hai yaro
hum na honge to hamein yaad kiya jaega

dast-o-bazu se bhi kuchh kaam liya jae 'hafiz'
ta-ba-kai shikwa-e-sayyaad kiya jaega