tez jab gardish-e-haalat hua karti hai
raushni din ki siyah raat hua karti hai
ranj aur gham ki jo barsat hua karti hai
daulat-e-ishq ki KHairaat hua karti hai
jab KHayalon mein dabe panw wo aa jata hai
wo mulaqat mulaqat hua karti hai
us ki KHamoshi bhi tufan ka pata deti hai
us ki har baat mein ek baat hua karti hai
jis pe rishton ke nibhane ki ho zimmedari
us ke hisse mein faqat mat hua karti hai
ye bhi hota hai mohabbat mein suKHan ka andaz
lab nahin khulte magar baat hua karti hai
jalta rahta hai charaghon mein rifaqat ka lahu
hijr ki raat bhi kya raat hua karti hai
din ki bechainiyan raaton ki taDap be-KHwabi
us ki chahat ki ye saughat hua karti hai
Ghazal
Tez jab gardish-e-haalat hua karti hai
Meena Naqvi