tez hai pine mein ho jaegi aasani mujhe
zamzami se de de zahid to zara pani mujhe
dekhna nazuk bhi hain kamsin bhi hain bhole bhi hain
sham se samjha rahi hai un ki nadani mujhe
baat bigDi wasl mein bigDi jo tu ai zulf-e-yar
kuchh pareshani tujhe hai kuchh pareshani mujhe
hath uTha kar rah gae aankhen jhuka kar rah gae
tegh-e-uryan ki pasand aai jo uryani mujhe
ban gaya hun aaina ai jalwa-ha-e-barq-e-tur
mil gai hai un ki aaine ki hairani mujhe
aap use darban bataen uzr mujh ko kuchh nahin
saunpiye ghar ghair ko apni nigahbani mujhe
KHub rota hun bagulon se lipaT kar dasht mein
yaad aati hai jo apne ghar ki virani mujhe
fasl-e-gul mein rang laya hai shabab-e-duKHt-e-raz
chheDti hai aa ke raaton ko ye mastani mujhe
bol uTha joban kisi se bhi nahin dabne ka main
saunpiye sarkar ab apni nigahbani mujhe
raaz sar-basta raha kab chaak-damani ka haal
ai saba dikhla na apni pak-damani mujhe
wae qismat paD gai kaisi girah-e-taqdir mein
uqda-e-mushkil nazar aati hai aasani mujhe
ab kahan taqdir mein hain ghunT shahd-o-shir ke
yaad aati hai kisi shai ki farawani mujhe
chashm-e-rahm ai saqi-e-kausar ki ab milta nahin
tishnagan-e-karbala ke nam par pani mujhe
shah-e-dauran hazrat-e-'hamid'-ali-KHan ke siwa
kaun hai jis ki tawajjoh se ho aasani mujhe
roz-afzun ho taraqqi daulat-o-iqbaal ki
aur mil jae dar-e-daulat ki darbani mujhe
chahta hai qais se achchhi rahe shakl-e-'riyaz'
ban chuka main kyun banata hai are mani mujhe
Ghazal
Tez hai pine mein ho jaegi aasani mujhe
Riyaz Khairabadi