tez ehsas-e-KHudi darkar hai
zindagi ko zindagi darkar hai
jo chaDha jae KHumistan-e-jahan
han wahi lab-tishnagi darkar hai
dewtaon ka KHuda se hoga kaam
aadmi ko aadmi darkar hai
sau gulistan jis udasi par nisar
mujh ko wo afsurdagi darkar hai
shaeri hai sar-basar tahzib-e-qalb
us ko gham shaistagi darkar hai
shoala mein lata hai jo soz-o-gudaz
wo KHulus-e-baatni darkar hai
KHubi-e-lafz-o-bayan se kuchh siwa
shaeri ko sahiri darkar hai
qadir-e-mutlaq ko bhi insan ki
sunte hain be-chaargi darkar hai
aur honge talib-e-madh-e-jahan
mujh ko bas teri KHushi darkar hai
aql mein yun to nahin koi kami
ek zara diwangi darkar hai
hosh walon ko bhi meri rae mein
ek guna be-KHudi darkar hai
KHatra-e-bisyar-dani ki qasam
ilm mein bhi kuchh kami darkar hai
dosto kafi nahin chashm-e-KHirad
ishq ko bhi raushni darkar hai
meri ghazlon mein haqaeq hain faqat
aap ko to shaeri darkar hai
tere pas aaya hun kahne ek baat
mujh ko teri dosti darkar hai
main jafaon ka na karta yun gila
aaj teri na-KHushi darkar hai
us ki zulf aarasta-pairasta
ek zara si barhami darkar hai
zinda-dil tha taza-dam tha hijr mein
aaj mujh ko be-dili darkar hai
halqa halqa gesu-e-shab rang-e-yar
mujh ko teri abtari darkar hai
aql ne kal mere kanon mein kaha
mujh ko teri zindagi darkar hai
tez-rau tahzib-e-alam ko 'firaq'
ek zara aahistagi darkar hai
Ghazal
Tez ehsas-e-KHudi darkar hai
Firaq Gorakhpuri