tewar bhi dekh lijiye pahle ghaTaon ke
phir baadban kholiye ruKH par hawaon ke
tum sath ho to dhup bhi mujh ko qubul hai
tum dur ho to pas bhi jaun na chhanw ke
KHud hi charagh-e-wada bujha de jo ho sake
ye hausle bhi dekh le meri wafaon ke
log apna muddaa-e-dili kah ke ja chuke
mazmun sochte rahe hum iltijaon ke
mujh ko har ek shart safar ki qubul hai
kanTe nikal de koi bas mere panw ke
kanon mein jaise koi shahd ghol de 'zuhur'
kitni miThas hoti hai lahje mein maon ke
Ghazal
Tewar bhi dekh lijiye pahle ghaTaon ke
Zuhoor-ul-Islam Javed