teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi
aankh kahti hai tere dil mein talab hai koi
aanch aati hai tere jism ki uryani se
pairahan hai ki sulagti hui shab hai koi
hosh uDane lagin phir chand ki ThanDi kirnen
teri basti mein hun ya KHwab-e-tarab hai koi
git bunti hai tere shahr ki bharpur hawa
ajnabi main hi nahin tu bhi ajab hai koi
liye jati hain kisi dhyan ki lahren 'nasir'
dur tak silsila-e-tak-e-tarab hai koi
Ghazal
Teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi
Nasir Kazmi