اردو हिंदी
Teri ye zulfen nahin tere ruKH-e-raushan ke pas | Shaahi Shayari
teri ye zulfen nahin tere ruKH-e-raushan ke pas

Ghazal

Teri ye zulfen nahin tere ruKH-e-raushan ke pas

Murli Dhar Shad

;

teri ye zulfen nahin tere ruKH-e-raushan ke pas
abr ke do TukDe uTh kar aae hain gulshan ke pas

kyun zamin hilne lagi hai kyun pareshan ruh hai
kaun ghabra ke chala aaya mere madfan ke pas

khinchna jazb-e-mohabbat us ka daman dekh kar
sar-nigun baiTha na ho fitna koi daman ke pas

phir to DhunDa bhi nahin milta koi murgh-e-chaman
ghar agar sayyaad ka hota kisi gulshan ke pas

kaun deta hai hamare dil ko ye targhib-e-nek
rahnuma baiTha hua hai kya koi rahzan ke pas

main to samjha tha ki ab chhuTa gham-o-alam se
tegh us ki ruk gai aa kar meri gardan ke pas

bazm-e-dushman mein naya fitna koi uThne ko tha
KHair guzri aap aa baiThe qayamat ban ke pas

'shad' ab dil ka tumhaare hath aana hai muhaal
wo magan baiTha hua hoga kisi pur-fan ke pas