teri yaadon ne kabhi chain se jine na diya
main ne chaha to mujhe zahr bhi pine na diya
yun hi ban ban ke bigaDte rahe aain-e-wafa
be-sahaaron ko sahaara to kisi ne na diya
gham to gham josh-e-masarrat ne baDhaya wo junun
chaak-e-daman kisi unwan bhi sine na diya
zindagi gham se sanwarti hai ye mana lekin
manzil-e-gham mein sahaara to kisi ne na diya
aaj kyun aa gae tum dard ka darman ban kar
jam-e-furqat bhi mujhe chain se pine na diya
tere milne ki KHushi tere bichhaDne ka malal
ghamza-e-sham-o-sahar ne hamein jine na diya
kis se shikwa karen virani-e-hasti ka 'hayat'
hum ne KHud apni tamannaon ko jine na diya

Ghazal
Teri yaadon ne kabhi chain se jine na diya
Masooda Hayat