teri yaadon mein khoe rahen meri jaan
itni mohlat kise itni fursat kahan
jis jagah Tap se aansu ka qatra gira
ek shoala sa bhaDka wahin na-gahan
hum se kya puchhte ho hamein kya KHabar
aag kyun lag gai aashiyan aashiyan
hum bhaTakte rahe dasht-e-zulmat mein
phul hanste rahe gulsitan gulsitan
hae wo ajnabi log ek shahr ke
aashna aashna mehrban mehrban
sach hai tu ne kabhi mujh ko chaha na tha
dil kahan, ek hone ki surat kahan
tu ne kab mujh se bandha tha ahd-e-wafa
KHarzaron mein basti nahin titliyan
'nur' tarikiyan is qadar baDh gain
miT gae chand raaton ke sare nishan
Ghazal
Teri yaadon mein khoe rahen meri jaan
Noor Bijnauri

