teri yaadon ke ke hasin pal ke siwa kuchh bhi nahin
mere kashkol mein is kal ke siwa kuchh bhi nahin
main hi pagal tha wafa DhunD raha tha in mein
teri aankhon mein to kajal ke siwa kuchh bhi nahin
kitne hi KHwab-e-masarrat ka nagar thin pahle
ab to aankhen meri baadal ke siwa kuchh bhi nahin
ban ke suqraat jiyo tajraba apna hai yahi
zindagi zahr-e-halahal ke siwa kuchh bhi nahin
baDhti jati hain meri wahshaten har din 'meraj'
aisa lagta hai main pagal ke siwa kuchh bhi nahin
Ghazal
Teri yaadon ke ke hasin pal ke siwa kuchh bhi nahin
Meraj Naqvi