اردو हिंदी
Teri yaaden bhi nahin gham bhi nahin tu bhi nahin | Shaahi Shayari
teri yaaden bhi nahin gham bhi nahin tu bhi nahin

Ghazal

Teri yaaden bhi nahin gham bhi nahin tu bhi nahin

Yusuf Taqi

;

teri yaaden bhi nahin gham bhi nahin tu bhi nahin
kitni viran hai ye aankh ki aansu bhi nahin

mere dil ko mere ehsas ko chhu jati thi
bhige bhige tere baalon ki wo KHushbu bhi nahin

hae wo pahle-pahal teri judai ki ghaDi
ab to pine ki koi chah koi KHu bhi nahin

jo gham-e-dahr ki rahon ko hasin-tar kar de
bahke bahke tere qadmon ka wo jadu bhi nahin

ab gunahgar nazar ki hai kahan ja-e-panah
rah mein dur talak koi pari-ru bhi nahin