teri yaaden bahaal rakhti hai
raat dil par wabaal rakhti hai
shab-e-gham ki ye ragni ban mein
bansuri jaisi tal rakhti hai
dil ki wadi se uThne wali kiran
wahshaton ko ujal rakhti hai
baam-o-dar par utarne wali dhup
sabz rang-e-malal rakhti hai
sham khulti hai tere aane se
lab pe tera sawal rakhti hai
ek laDki udas safhon mein
ek jazira sambhaal rakhti hai
aaKHiri dip ki larazti lau
mahr o mah sa jamal rakhti hai
Ghazal
Teri yaaden bahaal rakhti hai
Asima Tahir