teri yaad ka har manzar pas-manzar likhta rahta hun
dil ko waraq banata hun aur shab bhar likhta rahta hun
bhari do-pahri sae banata rahta hun main lafzon se
tariki mein baiTh ke mah-e-munawwar likhta rahta hun
KHwab sajata rahta hun main bujhi bujhi si aankhon mein
jis se sab mahrum hain use mayassar likhta rahta hun
chhanw na banTe peD to apni aatish mein jal jata hai
sirf yahi ek baat main use barabar likhta rahta hun
kya batlaun 'pashi' tum ko sang-dilon ki basti mein
moti sochta rahta hun main gauhar likhta rahta hun
Ghazal
Teri yaad ka har manzar pas-manzar likhta rahta hun
Kumar Pashi