teri wafa ka hum ko guman is qadar hua
aaya nazar na kuchh bhi dhuan is qadar hua
mil kar bhi hum to mil nahin pae kisi tarah
duniya ka zulm hum pe jawan is qadar hua
ghabra ke dushmanon ko gale se laga liya
apne hi doston se ziyan is qadar hua
ab to bhanwar mein Dub ke rahna hai har taraf
sahil se dur apna nishan is qadar hua
logon se ab to koi bhi shikwa nahin hamein
jab ye falak hi dushman-e-jaan is qadar hua
phir ho saki na meri munazzam ye zindagi
tujh se bichhaD ke sail rawan is qadar hua
sahra mein bah chuki hain ye aankhon ki naddiyan
dil se kamal-e-ah-o-fughan is qadar hua
dushman nahin wo apne hi the raaz khul gaya
raushan fasad mein ye makan is qadar hua
allah rakkhe fan ko meri bad-nazar se dur
warna ye likhna mujh pe giran is qadar hua
Ghazal
Teri wafa ka hum ko guman is qadar hua
Taseer Siddiqui