teri ulfat mein na jaane kya se kya ho jaunga
tu ne gar chaha to ek din main KHuda ho jaunga
qatl kar ke mat samajhna main fana ho jaunga
jal ke apni rakh se phir runuma ho jaunga
main kisi darwesh ke lab ki dua ho jaunga
be-sahaara zindagi ka aasra ho jaunga
raat-bhar baiTha raha mein tham kar yaadon ka hath
dil ko KHadsha tha ki main tujh se juda ho jaunga
samne Thahra hun tere jaan le pahchan le
chal paDa to baDhte baDhte fasla ho jaunga
waqt ke sahra mein tum paoge mere naqsh-e-pa
main azal se ta-abad ek silsila ho jaunga
main sama jaunga KHushbu ki tarah har phul mein
patti patti ghuncha ghuncha runuma ho jaunga
rah ka patthar sahi gar tu tarashega mujhe
dekhte hi dekhte main dewta ho jaunga

Ghazal
Teri ulfat mein na jaane kya se kya ho jaunga
Shola Haspanvi