teri taswir ko dhundla nahin hone denge
zindagi hum tujhe ruswa nahin hone denge
sar pe har lamha rahenge tere aanchal ki tarah
tu ghazal hai tujhe tanha nahin hone denge
jin makanon se hai mansub KHuda ki azmat
un makanon mein andhera nahin hone denge
jaan jati hai chali jae bala se lekin
hum mohabbat ko tamasha nahin hone denge
jin ko sae mein gunahon ko panahen mil jaen
un fasilon ko ab uncha nahin hone denge
par kar le jo qanaat ki hadon ko 'gauhar'
itna daman ko kushada nahin hone denge
Ghazal
Teri taswir ko dhundla nahin hone denge
Gauhar Usmani