اردو हिंदी
Teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin | Shaahi Shayari
teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin

Ghazal

Teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin

Kaleem Ahmadabadi

;

teri taskin ka sabab kaun-o-makan hai ki nahin
ruh-parwar ye jahan-e-guzaran hai ki nahin

din ki zau-tabiyan tarik fazaen shab ki
pichhli raaton ke dhundalke se ayan hai ki nahin

nara-e-dar-o-rasan hadisa-e-kaun-o-makan
KHufta-jaanon ke liye KHwab-e-giran hai ki nahin

KHud KHam-o-pech tujhe rah ke batla denge
teri Thokar mein tera sud-o-ziyan hai ki nahin

teri zulfen tera ruKH teri jabin teri nazar
ye chaman aaina-dida-waran hai ki nahin

is nazar se wo mujhe dekhte rahte hain 'kalim'
garm KHun garm nafas garm-e-fughan hai ki nahin