teri taKHliq tera rang hawala tha mera
kaun kahta hai ki andaz nirala tha mera
main jahan par tha wahin tu tha mere aaina-gar
teri taswiron se bharpur risala tha mera
chahta tha main dua mangta par kya karta
mere hathon mein to labrez piyala tha mera
mujhe pahle kai sadiyon ki saza kaTna thi
manzil-e-subh se kuchh dur ujala tha mera
main use bhul gaya taki use yaad na aaun
kitna mahbub mujhe bhulne wala tha mera
hun tahi-dast magar minnat-e-kashkol nahin
mohr-e-taskin mujhe hath ka chhaala tha mera
zahr pite hue KHamosh hi rahna tha mujhe
shaKH-e-taslim se gul-posh piyala tha mera
dusri zindagi dene ki zarurat hi na thi
har nai shakl ki surat mein izala tha mera
ye jo duniya mein sar-e-mauj-e-hawa likkha hai
mere yaron ne kabhi nam uchhaala tha mera
Ghazal
Teri taKHliq tera rang hawala tha mera
Shahnawaz Zaidi

