teri surat nigahon mein phirti rahe ishq tera satae to main kya karun
koi itna to aa kar bata de mujhe jab teri yaad aae to main kya karun
main ne KHak-e-nasheman ko bose diye aur ye kah ke bhi dil ko samjha liya
aashiyana banana mera kaam tha koi bijli girae to main kya karun
main ne mangi thi ye masjidon mein dua main jise chahta hun wo mujh ko mile
jo mera farz tha main ne pura kiya ab KHuda hi na chahe to main kya karun
shauq pine ka mujh ko ziyaada na tha tark-e-tauba ka koi irada na tha
main sharabi nahin mujh ko tohmat na do wo nazar se pilae to main kya karun
husn aur ishq donon mein tafriq hai par inhin donon pe mera iman hai
gar KHuda ruTh jae to sajde karun aur sanam ruTh jae to main kya karun
chashm-e-saqi se pine ko main jo gaya parsai ka meri bharam khul gaya
ban raha hai jahan mein tamasha mera hosh mujh ko na aae to main kya karun
Ghazal
Teri surat nigahon mein phirti rahe ishq tera satae to main kya karun
Tabish Kanpuri