teri surat jo dil-nashin ki hai
aashna shakl har hasin ki hai
husn se dil laga ke hasti ki
har ghaDi hum ne aatishin ki hai
subh-e-gul ho ki sham-e-mai-KHana
madh us ru-e-naznin ki hai
shaiKH se be-hiras milte hain
hum ne tauba abhi nahin ki hai
zikr-e-dozaKH bayan-e-hur o qusur
baat goya yahin kahin ki hai
ashk to kuchh bhi rang la na sake
KHun se tar aaj aastin ki hai
kaise manen haram ke sahl-pasand
rasm jo aashiqon ke din ki hai
'faiz' auj-e-KHayal se hum ne
aasman sindh ki zamin ki hai
Ghazal
Teri surat jo dil-nashin ki hai
Faiz Ahmad Faiz