teri si bhi aafat koi ai sozish-e-tab hai
ek aag hai so itni jalan aag mein kab hai
mana ki tum ummid-e-wafa ke nahin qail
phir kya mere jine ka koi aur sabab hai
KHush hun tere kine se ki shirkat se hun mahfuz
jitna tere dil mein hai wo mere liye sab hai
hajat nahin kuchh aur pas-e-marg magar ek
yani mujhe darkar teri jumbish-e-lab hai
zinda rahun kyun main ki zaban un se ho gustaKH
marne mein KHamoshi hai KHamoshi mein adab hai
ho hijr to phir gor mein aur ghar mein hai kya farq
jo gor ki zulmat hai wahi hijr ki shab hai
izhaar-e-wafa hai to kis ummid pe ai 'shauq'
tu dad-talab us se ki bedad-talab hai

Ghazal
Teri si bhi aafat koi ai sozish-e-tab hai
shauq Qidvai