teri samt jaane ke raston mein zinda hun
phul ho chuka hun aur KHushbuon mein zinda hun
kaun hai jo har lamha suraten badalta hai
main kise samajhne ke marhalon mein zinda hun
band sipiyon mein hun muntazir hun barish ka
main tumhaari aankhon ke paniyon mein zinda hun
tu firaq ki saat na-tamam qurbat mein
main visal ka lamha duriyon mein zinda hun
ab to ye dilasa hi aaKHiri wasila hai
main tere KHayalon ki wadiyon mein zinda hun
waqt soch tanhai karb wahshaten idrak
mera hausla aise qatilon mein zinda hun
apni munfarid yakta be-kanar hasti ka
ek hisar hai jis ki wusaton mein zinda hun

Ghazal
Teri samt jaane ke raston mein zinda hun
Najmus Saqib