اردو हिंदी
Teri sada ki aas mein ek shaKHs roega | Shaahi Shayari
teri sada ki aas mein ek shaKHs roega

Ghazal

Teri sada ki aas mein ek shaKHs roega

Parkash Fikri

;

teri sada ki aas mein ek shaKHs roega
chehra andheri raat ka ashkon se dhoega

shole sitam ke laegi ab raat chandni
suraj badan mein dhup ke KHanjar chubhoega

ai shahr-e-na-murad tujhe kuchh KHabar bhi hai
dariya dukhon ke zahr ka tujh ko Duboega

parbat girega TuT ke gahre nasheb mein
kab tak jumud barf ka wo bojh Dhoega

'fikri' tu apni baat ka andaz to badal
warna KHazina nam ka ek roz khoega