teri rahmat ne kar diya gustaKH
warna pahle to main na tha gustaKH
aap jo kuchh kahen sar aankhon par
aur main ne jo kuchh kaha gustaKH
saf-goi se kaam leta hun
tum ne mujh ko samajh liya gustaKH
kaT dete wo kyun na hath mera
un ke daman pe baDh chala gustaKH
khul gai aankh ab to ai nargis
aur un se nazar mila gustaKH
munh pe kahte use nahin banta
warna 'sarshaar' hai baDa gustaKH
Ghazal
Teri rahmat ne kar diya gustaKH
Jaimini Sarshar