teri nigah-e-naz ke bismil na honge hum
har rang har faza mein to shamil na honge hum
ek bewafa se hum ne yahan tak kaha kabhi
chahega gar KHuda bhi to hasil na honge hum
tanqid karne walon pe hansna paDa hamein
mushkil wo chahte hamein mushkil na honge hum
sahil pe jaane wale kabhi lauTte nahin
dhoke se bhi kabhi koi sahil na honge hum
hum ko hai ishq us se jo hai 'jaun-elia'
yani ki aap ke koi qabil na honge hum
hum ne to apne jism mein ek dil ko mara hai
kya phir bhi sochte ho ki qatil na honge hum
mana sharab pite hain to kya hua miyan
yani ki aap kahte hain fazil na honge hum
Ghazal
Teri nigah-e-naz ke bismil na honge hum
Muntazir Firozabadi