اردو हिंदी
Teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain | Shaahi Shayari
teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain

Ghazal

Teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain

Fana bulandshahri

;

teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain
jaan-e-jaan teri nigahen mai-kada-bar-dosh hain

ishq mein ahl-e-wafa kitne aziyyat-kosh hain
KHun dil ka ho raha hai lab magar KHamosh hain

ai nigah-e-shauq kis manzil mein le aai mujhe
donon aalam jalwa-gah-e-yar mein ru-posh hain

mujh ko tanha dekhne wale na samjhen raaz-e-ishq
meri tanhai ke lamhe yar ke aaghosh hain

'sarmad'-o-'mansur'-o-'shibli' ki nazar se dekhiye
hosh wale hain wahi duniya mein jo behosh hain

lan-tarani ki sada par muskuraya tha koi
jitne zarre tur mein the aaj tak behosh hain

ai 'fana' baada-kashi mein ye unhi ka hai karam
un ki mast aankhon se pi kar bhi sarapa hosh hain