teri naraazgi fasl-e-KHizan hai
rifaqat gulistan hi gulistan hai
hui hai war par jis ki samaat
hadis-e-ishq aisi dastan hai
yaqinan inqalab aaya hai koi
hamara zikr aur un ki zaban hai
ghamon ka zang jo dil se miTa de
wo dilkash aap ka tarz-e-bayan hai
mujhe mauj-e-hawadis ka nahin Dar
safina ki mere himmat jawan hai
watan ke rahnuma se puchhta hun
wo rahzan hai ki mir-e-karwan hai

Ghazal
Teri naraazgi fasl-e-KHizan hai
Sartaj Alam Abidi