teri mehndi mein mere KHun ki mahak aa jae
phir to ye shahr meri jaan talak aa jae
bus pe ye soch ke chaDhte hue rah jata hun
kya KHabar tere rawayye mein lachak aa jae
unT aur ret meri zat ka hissa the magar
ab qadam ghar se nikalun to saDak aa jae
ghar ki diwar pe karwa ke safedi pili
chahta hun meri aankhon mein chamak aa jae
ye bhi mumkin hai mera saya mera sath na de
ye bhi mumkin hai mujhe teri kumak aa jae

Ghazal
Teri mehndi mein mere KHun ki mahak aa jae
Rashid Ameen