اردو हिंदी
Teri marzi ke KHad-o-Khaal mein Dhalta hua main | Shaahi Shayari
teri marzi ke KHad-o-Khaal mein Dhalta hua main

Ghazal

Teri marzi ke KHad-o-Khaal mein Dhalta hua main

Shahid Zaki

;

teri marzi ke KHad-o-KHal mein Dhalta hua main
KHak se aab na ho jaun pighalta hua main

ai KHizan main tujhe KHush-rang bana sakta tha
tujh se dekha na gaya phulta-phalta hua main

mujh ko mangi hui izzat nahin puri aati
TuT jaun na ye poshak badalta hua main

shobada-gar nahin mehman-e-saf-e-yaran hun
zahr pita hua aur shahd ugalta hua main

yam-ba-yam ruh machalti hui machhli ki tarah
dam-ba-dam waqt ke hathon se phisalta hua main

ab meri rakh uDa ya mujhe aaankhon se laga
tujh talak aa gaya hun aag pe chalta hua main

kah rahi hain mujhe wo hausla-afzan aankhen
ruh tak jaun KHad-o-KHal masalta hua main

ho na ho ek hi taswir ke do pahlu hain
raqs karta hua tu aag mein jalta hua main

kar-e-darweshi jaza-yab hai lekin 'shahid'
KHush nahin KHalwat-e-KHali se bahalta hua main