teri mahfil mein sitare koi jugnu laya
main wo pagal ki faqat aankh mein aansu laya
matla-e-jaan pe kiran aisi numudar hui
jaise koi teri aawaz ki KHushbu laya
mujh ko ek umr hui KHak mein tahlil hue
tu kahan se meri aankhen mere bazu laya
in mein koi nahin lagta hai shanasa chehra
'ram' kis aaina-KHana mein mujhe tu laya
Ghazal
Teri mahfil mein sitare koi jugnu laya
Ram Riyaz

