teri mahfil mein jitne ai sitam-gar jaane wale hain
hamin hain ek un mein jo tera gham khane wale hain
adam ke jaane walo dauDte ho kis liye Thahro
zara mil ke chalo hum bhi wahin ke jaane wale hain
safai ab hamari aur tumhaari ho to kyun kar ho
wahi dushman hain apne jo tumhein samjhane wale hain
kise hum dost samjhen is jahan mein aur kise dushman
ki jo samjhane wale hain wahi bahkane wale hain
maraz baDh jae jis se ai tabib ab wo dawa dena
suna hai aaj wo meri KHabar ko aane wale hain
na sunte hain kisi ki aur munh se baat karte hain
KHuda jaane musafir ye kahan ke jaane wale hain
tere bimar kab khaen dawa parhez kya jaanen
ye hain KHun-e-jigar pite ye gham ke khane wale hain
qayamat tak na wo ai 'mashriqi' manzil pe pahunchenge
KHayali ghoDe jo maidan mein dauDane wale hain

Ghazal
Teri mahfil mein jitne ai sitam-gar jaane wale hain
Sardar Genda Singh Mashriqi