اردو हिंदी
Teri jo yaad ai dil-KHwah bhula | Shaahi Shayari
teri jo yaad ai dil-KHwah bhula

Ghazal

Teri jo yaad ai dil-KHwah bhula

Haidar Ali Aatish

;

teri jo yaad ai dil-KHwah bhula
billah bhula wallah bhula

furqat ki shab mein jaan-soz dil ne
uff uff kiya jo aah aah bhula

kaj rakh na pa ko ja dil se ghafil
pher us ne khaya jo rah bhula

zunnar Dala tasbih phiki
ishq-e-sanam mein allah bhula

KHur ne giraya us ko nazar se
jo zarra teri dargah bhula

zulf-e-rasa ko samjha jo afi
chuka wo qasr-e-kotah bhula

dekhe se tera ru-e-munawwar
hum mahr bhula hum mah bhula

mahrum rakha saqi ne hum ko
apne gada ko jam-jah bhula

but-KHana chhoDa baz aae but se
wo shahr bhula wo shah bhula

shart wafa ki kis be-wafa se
'atish' sa aarif-e-agah bhula